Sunday, 23 March 2014

Summary of Baba Ji’s Blessings (Bandra Kurla Complex, Mumbai, 23-3-14)

Sadh Sangat Ji Prem se kehna Dhan Nirankar Ji

1)      Ek baar phir ye mauka bana hai jab iss vishal Samagam mein sab utsah poorvak ekatrit hue hain. Inn maidaano mein sabhi Maanavta aur Insaniyat ke paigaam ko vibhinn bhashaon mein shravan kar rahe the. Ek-ek vachan kalyaankari tha kyunki vo Satye par adharit tha.

2)      Sabhi Santo Peer Paigambron ne aisi awaaz di hai, par hum usko sunne tak simit na reh jaayein, uski charcha karna mubarak hai, lekin uski mahetta tab hogi jab unhone ya Sant Tukaram Ji ne jo kaha, uski prapti bhi kar lete hain, jab Parmatma ko jaan jate hain, tabhi hum dhanye kehlate hain.

3)      Iss daudte hue jeevan ke safar mein vichar karna hai ki kahin yun hi daudte-2 hi naa jeevan samaapt ho jaaye. Jab paida hue, tab rengte the, phir kisi charpai ya vastu ka sahara lekar chalna sikha, phir school ki padai aur khel-kood, phir jawani ki rangraliyaan aur phir umr badti gayi aur aakhir ek din khamoshi ho gayi. Lekin Sant kehte hain ki kabhi socho, ki kya jeevan ka lakshye yahi hai? Kya duniyavi praptiyon aur mauj-masti tak simit rehna hai? Mahapurush samjhate hain ki aisa jeevan khali haath aana aur khaali haath jaane ke samaan hai, saath kuch nahi jaata. Pehle kuch prapt hoga tabhi saath jaayega, par duniya ki cheez saath nahi jaati hai. Sant tukaram Ji kehte hain ki iss jeevan ko yun hi nahi ganwana hai, asal mook ki pehchaan karni hai.

4)      Insaan ko uncha maana gaya hai kyunki insaan hi mool Parmatma ki, aur phir apni pehchan kar sakta hai. Self Realisation through God Realisation. We are from the Super Soul.
Saath jaane waali sirf sachi daulat hai, swayem ki pehchan karni hai. Samunder ke katre ne pehchaan karni hai apni. Tamaam umr sagar se uska saamna na ho toh usko kya maaloom padega.

5)      Chaar prakar ke bhakton mein Bhagwan Krishan ne Gyaani Bhakton ko vishesh maana hai. Santo ki vaani kuch kaam karne ko keh rahi hai. Unki vaani pad li aur usme likhe Parmatma ka zikr toh kar liya. Water (H2O) is mixture of Hydrogen and Oxygen, itna jaan lena hi kaafi nahi hai jab tak uss jal ka saamna nahi hota.  Jal ke sewan ke bagair baat bannani nahi hai. Isliye kehte hain ki isko jaanana hai ki ye kaise sarv-vyapi hai.

6)      Koi kehta hai - up above the sky- ki upar hai parmatma, koi kisi disha mein Parmatma ko maanta hai, koi kisi gufa mein maanta hai, insaan anumaan laga raha hai. Lekin Mahapursho ne Granthon mein is Parmatma ka vakhyaan kiya hai, yaha bhi Santon ne kewal guno ki charcha nahi ki, usko jaan bhi liya hai, iske darshan bhi kar rahe hain, aur phir isko natmastak kar rahe hain, apne asli mool aur vajood ko jaan liya hai, phir avagaman ke bandhan se nijaat mil jaati hai.

7)      Hamaare jeevan ko maayne milein, hum apne aur auron ke liye kalyaankari hon, uske liye bhi iss Parmatma yaani Vithul se naata jodna avashyak hai. Phir chaahe kisi bhasha waale hain, ya duniya ke kisi hisse mein rehne waale hon, kisi culture ko maanane waale hon. Sabhi, Allah aur Ram ke naam se pukaarne waale sabhi iski charcha kar rahe hain aur worldly achievements bhi prapt kar rahe hain, par apne mool ko bhi jaana jaaye.

8)      Hamaara jeevan dharti ke upar vardaan maana jaaye, Pyar ke saath, sahensheelta ke saath, vishaal hirdey rakh kar, ek doosre ke dukh-sukh mein shaamil hote hue, meethi vaani aur sunder vyavyar se iss jeevan ke safar ko tey karna hai.

9)      Desh ko azaad karaane ke liye kitni kubaniyaan di gayi, lekin kuch desh ko bech khaane ko bhi tayaar ho jaate hain. Aap desh ke prati bhi apni responsibilities samajhte hain aur ek sunder naagrik banker nirwah kar rahe hain. Aap miljulkar rehna sikha rahe hain, koi bhi dharm ko maanane waala ho, aap sabhi se pyar ki hi baat kar rahe hain kyunki aap jaante hain ki sabmein ek hi Parmatma ka ansh hai. Mission has been using the motto of Oneness, Harmony and Human Values.

10)   Dataar aisi kirpa kare ki sabhi apne jeevan ke lakshye ko poora karein, vo saare sansaar aur dharti ke liye vardaan banein, vishelapan dil-o-dmaag se nikle aur har jagah amrit hi ho.
Abhi 22 March ko Water Day manaya gaya. Jal swachh ho toh sehat ban jaati hai varna bimariyaan lag jaati hai. Jal mein bacteria ho toh dehyderation bhi ho jaati hai aur bimaariyan lagti hain. Toh ek taraf swachh jal hai aur ek taraf beemariyan. Isi prakar, ek taraf  Prem, Vinamrta, Vishalta, Manavta hai aur doosri taraf Nafrat, sankeerta aur daanavta hai.

11)   Jab ye kaha jaata hai ki thehraav lao jeevan mein , toh uska matlab ye nahi ki sabhi activities samaapt kar do ya vanvaas le lo, iska matlab ki hamaara mann, iss thehre hue(Parmatma) par ekaagrit ho jaaye. Thehraav ka matlab hamari gatisheelta, karm ya jeevan ki chaal ko rokne ki baat nahi hai, iska matlab hai ki Gehrai aur Unchai hamaare jeevan mein aa jaaye.

12)   Aksar kaha jaata hai ki I am very busy, phir uska swabhav bhi vaisa ban jaata hai. Kal bhi jab busy shabd ka dhyaan aaya ki iss shabd ko rhyme karke bana ki ‘Busy rahein par Easy rahein’.

13)   Ek Patni gayi Pati ke paas aur kaha ki khana kha lo, toh pati ne kaha ki main kitaab pad raha hun, busy hun. Jab 2 baar, 3 baar aur phir 5vi bar gayi toh gusse mein jo kitaab pad raha tha, bahi kitaab patni ke maathe par de maari aur patni ke khoon bahne laga. Zakhmi Patni ne jab kitaab dekhi toh uska title tha, Tolerance yaani Sahensheelta. Ye kitaabi gun nahi, balki vyavhaarik gun hon, tabhi hamare jeevan mein khushi aayegi, tabhi jeevan ka uncha mayaar hoga.

14)   Kisi ne Pati-Patni ko poocha ki aapke ghar se roz hasne ki awaaz aati hai, toh kaha haan hum pati patni roz hanste hain. Kaaran poocha gaya toh bataaya ki Patni chappal phenkti hai, agar lag jaati hai toh vo hansti hai aur nahi lagti toh main hansta hun. Toh aisi khushi bhi asal khushi nahi hai. Yahaan maang mangi ja rahi hai ki sabhi ke jeevan mein sachi khushi ho, jahaan ye maang maangte hain vahan usko prapt karne ka dhang aur vidhi bhi bataate hai.

15)   Abhi Maharashtra mein jaane ka mauka mila. Vahaan Jogua-Jogua shabd ka upyog ho raha tha. Jogua shabd ko jab suna toh dhyaan aaya ki isko agar Hindi mein iss tarah se soch kar arth nikaalein ki jo ‘Jo Ganva de’. Toh jo ganva de abhimaan ko vo unche ho jaate hain, jo ganva de nafrat ko, vo prem ke mujjasme ho jaate hain.

16)   Yahaan aakar khushi haasil ho rahi hai aap sabhi ke darshan prapt karke. Kal bhi ye kaha ki aisa lagta hai ki maano January mein Delhi ka Samagam pause hua, aur January mein Mumba mein phir se play ho gaya,  aur yahaan aakar lagta hai ki January mein Mumbai Samagam pause hua aur ab phir se play ho gaya hai.

17)   Dataar aisi kirpa kare ki ye utsah aur Bhakti bhaavna bani rahe, kabhi ek Gursikh doosre Gursikh ka niradar na kare, ek doosre ka satkaar karte chale jaayein. With forgiveness you cannot change the past but enlarge the Future.

18)   Shahenshah Ji bhi kehte the ki ek paani ki aur ek patthhar ki lakeer hoti hai. Sansaar ka Pyar paani ki lakeer aur unki ghrina patthhar ki lakeer. Lekin jo Sant, Gurmaukh aur Bhakt hote hain, ye kisi ke  jeevan mein koi kami dekhte hain toh usko paani ki lakeer karte hain aur Gursikhi waale pyar ko patthhar ki lakeer karte hain.

19)   Ant mein, Rajmata Ji ki taraf se bhi aap sabko Dhan Nirankar aur Ashish.

Sadh Sangat Ji Dhan Nirankar Ji

No comments:

Post a Comment