Sunday, 25 May 2014

Summary of Baba Ji’s Blessings (25-May-14, Delhi)

AVTAR BANI SHABD (41)

SANT NE OHO NAAM DE BAAJON JINNA NU KOI KAMM NAHI

Sadh Sangat Ji Prem se kehna Dhan Nirankar Ji

1) Anandmayi vatavaran mein, sabhi inn ghadiyon ko bita rahe hain. Jeevan ki yaatra ko tey karte hue jo ghadiyan bitayi jaati hain vo aksar anand rahit hoti hain, aur vo ghadiyaan anandrahit hoti hain kyunki vo iss Maalik ki yaad ke bagair bitaayi jaati hain. Par yahaan isi ke gungaan aur mahima gaayi ja rahi hai aur isi ka dhyaan dilaaya jaata hai.

2) Jab-jab humne Anand ki mehsusiyat ki, toh uss avastha ko phir kaayam bhi rakhna hota hai. Iski upasthiti aur ehsaas rehta hai, toh jeevan ke doosre kaam karte hue bhi anand rehta hai. Sant karmsheel aur karamyogi hote hain, escapist nahi hote hain, par iska dhyaan banaye rakhte hain. Koi bhi duniyavi baat ho, usko parmarth, Bhakti aur Nirakar ke saath jod dete hain.

SANT NE OHO JO HAR BAAJO JEE SAKDE IK DAM NAHI

3) Ek machhli ki misaal hum sunte hain, uske liye jal jaise pran daayak hota hai. Jal ke bagair vo tadapti hai aur jal mein anand ki mehsoosiyat karti hai. Machhli ko sone, jwahraat ya heere ka dher nahi chahiye kyunki jal hi uska jeevan hai. Isi prakaar Sant ke liye naam sarover se nikalna ghutan aur patan ka kaaran hai. Dataar tujhe bhulaayein nahi, tujhe visaare nahin. 'Seyi milaayi jina chityaan tera dhyaan aave'.

4) Sant ka bhaav ban jaata hai ki Attitude of Gratitude. Sant shukraane waala attitude rakhte hain, ki Dataar tune janm diya hai aur Mahapursho ka sang diya hai, janmo ke chakkar se chhutkara diya hai, toh shukrana jitna bhi karein kam padega. 'Uthat baithat har bhajo sadhu sang preet'. Saadhu ki matt ko lete hain toh phir durmati ya durgati nahi hoti. 'Swaas Swaas simro Gobind mann antar ki utre chint'. Ye pata nahi hota ki kaun sa aakhri saans hoga. Toh har swaans me isi ka naam lete hain.  Avtar Bani mein bhi likha hai ki 'Tuhi Tuhi Nirankar karo te harpal isnu yaad karo'. Toh ekpal nahi, harpal isko yaad karo, ek pehar ya do pehar nahi, aatho pehar isko yaad karo.

DIN TE RAATI SANT HAMESHA SIFT HARI DI GAANDE NE

5) Sant iski mahima gaakar apni zubaan ko pavitr karte hain. Jaise sagar mein se boond nikaal lein toh koi farq nahi padta, toh isi tarah sift karke bhi sant yahi kehte hain ki maine toh zara si bhi sift nahi kari hai. Jo iske rang mein range hote hain, toh uski bhi mahima gaate hain kyunki vo bhi santo ko priye lagte hain. Bhrahmgyani ko Nirakar ka hi roop maante hain.

NAAM DA DAARU PI KE SAADHU SAARE ROG GANVAANDE NE

6) Sabhi rogo ki dava ya oshadhi naam hi hai, adhaar naam hi hai, mere praan naam hi hai. Isi ka sevan karna, isi ko kavach banana aur isi ka hi roop khud ko bana lena. Yahi meri khurak, mera pehraava, yahi meri daulat, sabkuch isi ko hi maante hain. Sansaar ki avastha ke mukaable santo ki avastha bahut unchi hoti hai.

NAA HI RAB DA SANTA LAYI IKKO IK SAHARA E

7) Sant apni vidvata ya taakat ko adhaar nahi banaate, isi ko adhaar maante hain.

UTHDE BAINDE KHAANDE PEENDE NAA GURU DA PYARA E

8) Yahaa par Hari ka zikr karte karte Guru ka naam aa gaya. Sant koi bhed nahi jaante hain. Jiske kaaran sachhi daulat mili usko isi ka roop maante hain. Ishq hi, ye Prem pyala hi peete hain, Murshad ko hi sabkuch bana kete hain. Sant aisi avastha bana lete hain ki Rab se bhi Raanjhan achcha lagne lag jaata hai.

SANT HARI DE DUNIYA VICHO SABTON CHANGE REHNDE NE

9) Jab avastha aur bhaav change honge toh unka rutba bhi duniya se uncha aur achha ho jaata hai. Lagataar Rajmata ji kehte hain ki 'Sant ne aide maujan karde duniya payi kurlandi'. Vo isliye kyunki inka naata Parmatma se juda hai, inko sachi daulat mili hai, isi ko adhaar banakar isi ko karta maan rahe hain, sabr aur santokh ki daulat se yukt hain, tabhi anand aur mauj maan rahe hain. Varna toh daulat aur saamartha vaale bhi sache sukh se vanchit reh jaate hain.

AVTAR GURU DI SHARNI AA SHUBH KARDE SHUBH KEHNDE NE

10) Santo ki vaani aur vyavhaar mein nirmalta aa jaati hai. Bhakt sajag rehta hai Gyan ki taraf, isi liye apni vaani, yavhar aur bolo ki taraf bhi Bhakt sajag rehta hai, Murshad ke vachno ki taraf sajagta hogi toh baaki sab taraf bhi sajagta hogi, phir roop bhi sunder banega aur auron ke liye bhi vardaan banta chala jaayega.

11) Iss nirmal Parmatma ki taraf sajag rahein, koi aisi ghadi na aaye ki isko visaar diya jaaye, iska ehsaas bana rahe, iske rang mein mann ranga rahe, sansaar ka rang na chade, isi liye Mahapursho ke vachan baar-baar isi aur dhyaan dilaate hain, aur yahaa Shahenshah Baba Avtar Singh Ji ke vaani bhi isi aur dhyaan dila rahi hai.

Sadh Sangat Ji Dhan Nirankar Ji

Source Atul Dhawan Ji

Sunday, 18 May 2014

Summary of Baba Ji’s Blessings ( 18-May-14, Delhi)

Sadh Sangat Ji Prem se kehna Dhan Nirankar Ji

1) Abhi aap, Mahapursho ke vachan shravan kar rahe the jo sunder dhang se apne bhaav ko  samaksh rakh rahe the aur jo Satye aur Parmaarth par adharit the. Inhi ki keemat hai kyunki jiske aise neki waale bhaav hote hain, aur ye jiske hirdey me baste hain aur inko kriyatmak roop diya jaata hai toh mann ko bhi Anand milta hai aur jeevan ko bhi shobha milti hai.

2) Vo bol keemti hote hain jo Bhakti par adharit hote hain. Varna toh bol dilon ko dukhane waale ya viprit raaste par chalaane waale bhi hote hain. Unpar chalte hain toh jeevan me girawat aati hai, isliye usi vaani ki keemat hai jo zakhmo ko bharti hai, jiske kaaran hamaare jeevan ko sahi disha milti hai.

3) Sansaar mein hamein aneko aise udharan aur musaalein milti hain, jo dekhne mein aata hai ki usme peeda aur maayusi hoti hai. Agni aur jal ki misaalein milti hain, agni, jo jhulsaati hai aur tapash paida karti hai, par Santo ki vaani aur bhaav sheetal jal ka kaam karti hai jo thandak deti hai. 'Sant na hote jagat mein toh jal marta sansaar'.

4) Chandan ka sang kar lo toh tumhe bhi vo sugandhi prapt ho jayegi. Toh aiso ka sang karo jo sheetal hain, jo thandak dete hain, jo Prem aur Pyar se bhare hote hain. Bhakt bhi usi ka sang karte hain jo thandak dete hain. Chandan ko sungho ya badan par lagao, vo thandak hi pradan karta hai. 'Aisi baani boliye man ka aapa khoye, airon ko sheetal kare, aaphu sheetal houe'. Jo itr lagaate hain ya usko lagaane waale ka sang karte hain, use sugandh hi milti hai. Sant bhi vaani aur karm ke dwara thandak hi pradaan karte hain.

5) Jaise ek angaar ya koyla haath me uthaate hain toh vo hamaari hatheli ko jalayege aur agar usko kisi pe phenkenge toh usko bhi nuksaan dega. Isi tarah jiske mann ke bhaav irshya jalan ya lobh laalach vaale hote hain, vo aap bhi chain nahi lete hai  aur auron ko bhi jalaate hain. Unke jeevan ki koi mahetta nahi hoti, vo aisa jeevan hai ki uska anukaran karne waale bhi girawat ki aur jaate hain. Isliye kaha jaata hai ki aise Santo ka sang kato jo sach ki daulat ko prapt kiye hue hain, inka sang karke tum bhi apne jeevan ko thehraav de do.

6) Kusang nahi, su-sangati karni hai. Jo sang nuksaan, doobone ya apyash dilaane ka kaaran hai, aisa sang na karein. Su-sangati hamaare budhi ko samajh pradaan karti hai, jo aisi budhi ko rakhte hain, unhi ka sang karna hai. 'Mann neevaan matt unchi'. Toh unchi mati waalo ka sang karein taaki unche khayaal aur unchi soch ho tabhi jeevan unchai ki taraf jaayega.

7) kaha jaata hai, ki iss insaan ko aisa sang mil gaya hai ki iski budhi bhrasht ho gayi hai, bado ke samne zubaan chalne laga hai, nasho ka sang karne laga hai. Aisa isliye kaha jaata hai kyunki usko aisa sang mila hai jo bura hai isliye budhi bhrasht hui hai aur jeevan mein girawat aayi hai. Ye budhi viveki rahe, uski liye santo ka sang zaruri hai, tabhi jeevan ki mahetta aur shobha bani rehti hai.

8) Kaante kapdo ko phaad dete hain aur shareer ko bhi chhalni karte hain. Par Mahatma isi se bachne ke liye hamein sajag karte hain. Kuch bhi ho jaaye, saakat ki sangati na karun. 'Tulsi tahaan na jaayiye taha kanchan barse meh'. Vahaan chaahe sone ki barsaat kyu na ho rahi ho, saakat hamein naana prakaar ke pralobhan kyu na de, par JO ki bhoosi Sant ki, phir bhi bachaav karegi. Sadhu ki matt ko dhaaran kiya toh vo jhopdi bhi mehlon se mubaarak hai kyunki usme rehne waala unchi matt aur khayaal waala hai, vo Maalik ka ehsaas karta hai, sabr aur santokh ka dhan uske paas hai. 'Kakhaan di O kulli changi jiss vich Gurmakh rehnda e'.

9) Chandan sar par lagaya hai, koi insaan kahe ki aao tumhe gale laga lun toh vo chandan usko bhi thandak degi. Jo gande naale se sana hua ho, usko hum aage bad kar gale nahi lagaate. Toh vaha jaise hamaari sajagta kaam karti hai, toh saakat ki sangati bhi na karein, Santo ki matti ka sang karo.

10) Surye ki mahetta toh hai hi hai, vo roshni aur kirne toh de raha hai, par jo aankhein kholkar chalne waala hai, vahi uska laabh le sakta hai, aankh band karke thokar lage toh suraj ki galti nahi hai. Isi tarah se uttam vaani aur vachno ki mahetta hai, lekin koi usko na maane ya na chale toh vo uss laabh se vanchit hai.

11) Mahapursh mann vach karam se ek sa jeevan jeene ki prerna dete hain. Humne vachno ko dhaaran karna hai, usko vyarth nahi karna hai. Gaaghar ki misaal aati hai, nalka chal raha hai, jal nikal raha hai, par vo gaaghar bhari nahi kyunki usko ulta rakha hua tha, usko seedha kiya par vo phir nahi bhari, phir poocha gaya toh pata chala uspar dhakkan tha. Dhakkan hataaya gaya lekin phir bhi vo bhari nahi kyunki usme chhed tha. Isi tarah hamaare jeevan mein agar dushbhaavnayein ho toh jeevan ki gaaghar bhari nahi jaayegi.

12) Inn vachno ko mahetta deni hai, ye Gyan gehra hai, hamein ismein gehra utarna hai. Gehre nahi gaye toh motiyon ko kaise praapt karenge. Isi prakaar vachno mein gehre utarna hai.

13) Hoton ko kewal geela karne se baat nahi banegi, isko gat-gat karke peena hai. Gyan ko kewal prapt hi nahi karna isme gehre utarna hai. Ek, 'daas' shabd ka istemaal hota hai, meri gehri daas waali bhaawna ho, usme gehra utru, kewal vo shabd daas waala ho toh uski mahetta nahi hai.

14) Dataar sabko taufeeq de ki sab mahapursho ke ek-ek vachan ko dhaaran karke jeete chale jaayein, yash ko prapt karein aur vo sabke liye prerna ka karan bante chale jaayein.

Sadh Sangat Ji Dhan Nirankar Ji

Sunday, 11 May 2014

Summary of Baba Ji’s Blessings ( 11-May-14, Delhi)

Sadh Sangat Ji Prem se kehna Dhan Nirankar Ji

1) Abhi aap, Mahapursho ke vachno ka anand le rahe the. Aur aise bachan shravan karke Anand milta hai, vaha agar unhi vachno ka ehsas kiya jaaye aur apna liya jaaye, toh vo haaare liye prerna ka kaaran ban jaate hain. Bhakt hamesha hi aise  vachan shravan karke anadit mehsoos karte hain aur prerit bhi hote hain.

2) Yahi maarg hamaare liye uttam maarg hai, isi se jeevan ko maayne milte hain. Ye jeevan amulye hai, par insaan vishta ka graahak banta hai. Bhakt bhi isi dharti ka ann aur hawa lete hain, par insano ki aur bhakto ki chahat bhin hoti hai, bhakt moti ke grahak hote hain aur doosre kankad aur vishta ke. Bhakt apna aap auron pe nichaavar karte hain, doosre auro ka daman aur shoshan karne mein yakeen rakhte hai, bhakt vinamr hote hain aur doosro ke ahem ki koi seema nahi hai. Toh dono ki bhaavnao aur praarthmiktaon me bahut antar hota hai, dono ki chaal bhin hita hai. Shakal-soorat toh insaani aur bando waali hai par saare sansaar ke upadrav insaani jaamo mein hi ho rahe hain.

3) Botal zaher ya sharab ki ho aur doosri amrit ki, toh dekhne mein dono ek jaisi hain, par ek jeevan de rahi hai aur doosri jaanleva hai. Baahar ki aakriti isaan ki ek jaisi hai par andar ki soch kya alag hai. Toh santjan prerit karte hain ki hum santo aur bhakto waale maarg par chalein, usi pe chalna hai.

4) Dekhne mein bhanvra aur bhoond ek jaise hain par ek phool ka chahvaan hai air ek gandagi ki taraf jaata hai aur dank lagaata hai. Koyal aur kauwa dono kaale hain, lekin ek ki bhaasha me ananad aata hai aur doosre ki awaaz sun hum pareshaan ho jaate hain. Humaara baahar aur antar ek jaisa ho. Baahar dhyaan ho aur antar mein garz samaayi hi, aisa na ho.
'Garz diyaan buniyaadaan te jo tikeya e O Pyar nahi'.
'Begarz jinaa di ulfat hai, O Pyar di keemat nai mangde".

5) Hum chetan rahein ko humaari bhi bhaavna aur chaal sansaar wali toh nahi ho rahi hai, kisi garz ke kaaran toh kahin kisi Sant se nazdeekat bada rahe hain. Surat aur Seerat me kewal maatra ka antar nahi hoti hai, achi surat sifaarish paatr banti hai lekin achi seerat vishwas paatr hoti hai.

6) 'Jaananhaar Prabhu hai jeda, jaane saare gaibaan nu, Iston kive chupa sakda e banda apne aibaan nu'.
Diwaar ke idhar bhi insaan chhal sakta hai toh udhar doosri taraf bhi chhal sakta hai. Par Param satta ki nazar deewar ke udhar bhi hai, isse kaise chupa sakta hai insaan.

7) Hum sada hi sajag aur chetan rahein. Duniya mein bheed ho toh hum chetan rehte hain, jaan aur samaan ki safety ke liye sajag rehte hain, public place par constantly tapes chal rahi hoti hain ki samaan ka dhyaan rakho aur lawaaris cheez ko na chuo. Jab duniyaavi cheez ka dhyaan rakha jaata hai toh yahaan toh suksham se silsile hain, hum bhool jaate hain, isliye baar-baar yaad karaaya jaata hai.

8) Iss mann mein zaher ho toh ye hamein duniya ki taraf le jaata hai. Gaadi mein Steering toh ek hi hota hai, vahi manzil par le jaata hai aur vahi steering khaayi mein le jaata hai. Isi prakaar mann bhi ek hi hai, isi mann ko sjaayein aur sanemwaare, ye mann naam ke sarover mein dooba rahe, amrit aur motiyon ka graahak banein.

9) Jo spritual aur satsang ka aahar hai, yahi mann ko mile, tabhi mann sunder hoga. 'Mann changa toh katothi mein ganga'. Mann changa hoga toh sab changa hoga, tan mann aur dhann ka sadupyog hoga kyunki mann changa hai. 'Mann jeete jag jeet'. Ankush mahaavat ke haath mein ho toh mann ka haathi sambhal jaata hai varna bekaabu ho jaata hai. National Parks mein haathiyon ke upar lekar jaate hain sanvariyon ko, toh ankush haath mein hai tabhi vahi upyogi bana hua hai.

10) Instrument kaan hai, iske dwara hum vachan sunte hain, par asal mein ye mann ke liye hain. Mann vachno ko sunkar maan leta hai toh phir ye tamaam vachan aur shikshaayein upyogi ho jaati hain.

11) Dataar sabko aisi taufeeq de ki sabhi inn vachno ka laabh uthakar, jeevan, amal aur karm mein laakar uchaayiyon ko chhoote chale jaayein. Ek panchi tabhi udaan bharta hai jab uske dono pankh hon, ek se baat nahi banti. Cycle me chain lagi hoti hai, use utaar dein toh pedal ghumaane se cycle kahi aage nahi jaayegi. Toh bol aur karm dono ki mahetta hai, bol bhi kalyaankari hon aur usi anusaar jeevan bhi ho, unchi matt ko dhaaran karein. Unchi matt Santo aur Bhakto ki hi hoti hai, vahi jeevan ko sunder bana paate hain. Vo kisi yogdaano ke prati bekadre nahi hote hain.

12) Aaj Mother's Day ka zikr ho raha hai. Ek bekadre hote hai, jahaan bekadre hote hain 'Jaddon apni apni pe gayi, teh maa dhi nu lut ke ke gayi'. Par ek Maa, jo khud geeli jagah so gayi aur bache ko sookhi jagah sula diya.
'Jis boodi maa ko tumne ghar ke dekhleez se nikala hai, usi ki duayein hain ki tumhare munh mein niwaala hai'. Maa sada dua hi deti hai.

13) Bahut dashak pehle ek film dekhi jisme bacha maa ke liye durvyavhar karta hai, aur kisi ke kehne par maa ka kaleja nikaal kar le jaa raha hota hai toh gir padta hai. Kaleja se awaaz aati hai ki beta kahin chot toh nahi lagi.

14) Humne kadr aur satkaar karna hai aur apne jeevan ko unchayiyaan aur nikhaar dena hai.

Sadh Sangat Ji Dhan Nirankar Ji

Monday, 5 May 2014

Summary of Discourses by Rev. Channi Faridabadi Ji at Nirankari Satsang Bhawan Airoli On 5th May 2014

Param Pujya Sadh Sangat Ji Pyar Se Kahiye Dhan Nirankar Ji

1. Sadh Sangat Ji hum sab ki bahut badi khushkismati hain ki hum satguru ko dhanyavad dene aaye hain. Office mein Apne senior ki kursi pe koi baith jaye aur woh senior aa jaye toh toh baithnewale ki naukari khatre mein pad sakti hain par Satguru ki kirpa toh dekhiye ki inhone na keval Inki iss jagah par Gurusikh ko bithaya balki kaha bhi ki usse Guru jaisa pyar do.
Aapne yaha joh namskar kiya woh Gurusikh ko nahi Satguru ko hi ki hain.

2. Hum sab ne Satguru ko Mannmatt De kar Gurmat li hain. Satsang mein aa kar hum harr vachan ko dhyan se sunana hain. Samay 7 se 9 hain toh 7 baje hi aaye. Humare late hone ka karan humari soch hain ki Sangat hi saari late aati hain.
Ek dafa aadesh aaya ki Drum Dudh se bharna hain sab ne ek ek glas Dudh lana hain. Toh ek Buddhiman ne socha ki Main ek glass Pani se le jau toh kya farak padega Aur Yehi hi ek baat sab ke dimag mein aaye aur woh Drum Pani se hi bhara gaya.
Cinema dekhne ke liye bhi hum Film shuru hone se pehle pahuchte hain.
Sangat se jyada important aur kuch nahi.
Babaji ne farmaya
50 kam chorhkar Nahana chahiye.
100 kam Chorhkar Khana Khana Chahiye
1000 kam Chorhkar humein Satsang jana chahiye.

3. Nirankar SadhSanagt aur Satguru ek jaisi taqat hain. Film ki cassette hum kiraye ke liye laatein hain. Magar cassette se film nahi dikhti aur na VCR mein dekhti hain. Lekin jab VCR ko TV Se joda jaye toh TV par Film dikhti hain. Toh tino ko milakar hi film dekhi jaa sakti hain.
Bhakti bhi tino ko milakar hi ho sakti hain.

4. Shehenshah ji ke jamane mein kisi Mahatma ne kisi se Paise udhar liye. Lakh mangane par uss ne paise nahi diye. Toh woh Shehenshah ji ke pass pahucha ki dekho woh paise nahi deta. Jab usko Shehenshah ji ne bulaya aur pucha toh usne kaha maine paise nahi liya. Toh usko Nirankar aur Satguru ki kasam lene ko kaha aur uss ne zoothi kasme li aur fir use Sadhsanagat ki kasam lene kaha toh usne kaha main Sadh Sanagat ki Kasam nahi kha sakta. Toh Shehenshah Ji ne pucha tune Nirankar aur  Satguru ki zoothi kasam khayee kyun? Toh usne kaha Nirankar rooth gaya toh aap mana lo ge aur Aap Rooth gaye toh Sangat Mana lo ge Lekin Sadh Sanagat ruth gaye toh kaun manayega.
Toh Shehenshah ji bahut khush hue.
Sangat ki Mahima Sarvshresth hain.

5. Satguru itna majbur nahi ki keval Stage pe baithe Mahatma se hi bulvaye yeh kisi bhi roop mein aap ko sikha sakte hain.
Iss liye Humne Satsnag Vakt mein aana hain.

6. Hum Dukh Sukh mante hain. Lekin jaise Aankhri saans aaye toh saare dukh samapt ho jate hain waise hi Duniyavi Sukh ko bhi Ghaspus kaha gaya.
Asal Dukh woh hain Joh Aatma Karodo Saal Chaurasi Lakh Yoni mein hoti hain.
Aur Asal Sukh woh hain jiss ko Satguru ne asal Zindagi mein Prabhu se mila diya.

7. Satguru Nirakar ko Prakat karta hain. Satguru Sakar Paramatma hain. Nirakar  ke 3 Gunn hain Sat Chit aur  Anand . Satguru mein 2 aur gunn hain. Woh Sat, Chitt Ananad ke sath sath, Satguru Sakar hain iss ke hum Charan chu sakte hain aur
Satguru Sakar Ki Vaani hain. Yeh humein Samzata hain.
Agar Nirankar mein se aavaj aaye toh hum darr jayenge. Kuran mein aaya ki Ae Nabi Tu bolega toh sab sunnege magar mein Khuda banke bolunga toh sab bhoot Samazkar bhaag jayenge.

8. Master ka Sharir Master nahi uski Shiksha Master hoti hain. Satguru ka Gyan hi Satguru hota hain.
Gurugeeta mein kaha
Satguru se bada Nirankar, Gyan, Yagya nahi hota
Kahe Avtar Guru Hi Rabb Hain Iss Vich Koi Bhulekha Nahi
Kisi Paigambar ke pass  koi pahucha aur uss ne kaha Khuda ka deedar karao. Toh uss ko kaha gaya ki Hath Jodkar Mere Charno pe sis zukakar kar kaho 'Aye mere khuda, tumhara deedar karao. Toh Sab ne usse mana kar diya
Toh waha Koi Jigyasu aaya.
Woh Jigyasu ko bhi uss Paigambar ne kaha ki Hath Jodkar Mere Charno pe sis zukakar kar kaho 'Aye mere khuda, tumhara deedar karao' toh woh Jigyasu kehne laga Khuda ko dene wala Khuda se bada hota hain. Main aapko Khuda se bada manta hu aur usse Khuda ka deedar hua. Jaise Pani ka Dhanyavad nahi hota Pani pilane wala ka dhanyavad hota hain waise hi Satguru ka hi Dhanyavad banta hain.

Tere Aehsan Tera Pyar Hi Lata Hain Tumhare pass
Varna kisko Fursat hain Kisi se milne ke liye

9.  Hum Time par Sanagat mein aaye. Kyun ki Sanagat hi Humein Satguru aur Nirakar se Jode rakhta hain.
Yaha aakar baithne se sharir ka kam khatm aur mann ka kam shuru ho jata hain.
Kan, Juban keval Instruments hain. Humari Indriya Mann Ke Adhin hoti hain aur Mann Buddhi ke adhan, Buddhi Atma ke aadhin aur Aatma Paramatma ke control mein hain.
Scientists ne kaha 3 minute se jyada Mann ko concentrate nahi kiya ja sakta hain. Mann idhar udhar jata hain. Jaha aankh jayegi waha mann bhi jata hain.

Samaz unko aaye toh kyun kar
Joh sune kam aur sunaye jyada
Nasha unko aaye toh kyun kar
Joh Piye kum aur giraye jyada.

Mann ko Satsang mein lagana hoga.

9. Dass mission mein aane se pehle kisi ne muzse sawal kiya ki Guru Pir Paigambaro ko Sharirik takleef  mili unko takleef nahi hue toh dass ne jawab diya ki  jaise operation ke samay  koi nasha diya jata hain jiss se koi dard nahi hota waise hi unke pass bhi naam ka nasha tha.

Arjun Dev ji ne Miya Mir ko kaha jiss tave par baitha hu, aag hain Joh Samne khada hain jissne yeh aadesh diya sab mein Nirankar hain. Toh takleef kaisi.
Shehenshah ji kehte the Brahmgyani ko fansi bhi ho toh woh ghabrata nahi hain kyun ki woh janta hain ki jindagi ek sans ki hain.
Mardana ko Guru Nanak Ji Ne kaha Jindagi kitni lambi hain toh uss ne kaha Din katt gaya pata nahi kal aaye yaa na aaya toh ussne Guru Nanak Dev ji ko kaha ki aap batao Jindagi kitni lambi hain. Toh unho ne kaha ek sans gaya pata nahi wapas aaye na aaya.

10. Jab Baat Kehkar Juda hue tab woh baat yaad aaye joh kehni thi. Yeh Pyar hain aapka.
Hum Guru Ki baat Karte Chale Jaye

Sadh Sangat Ji Dhan Nirankar Ji

Sunday, 4 May 2014

Summary of Baba Ji’s Blessings (4-May-14, Delhi)

Sadh Sangat Ji Prem se kehna Dhan Nirankar Ji

1)  Adhyaatmik khuraak, jiske upar Mahapursho ne hamesha bal diya hai, shareer mein taakat ke liye hum khuraak lete hain, toh yahaan par khuraak, jo hamaare jeevan me adhyaatmikta ko mazboot karti hai aur nikhaar praapt hota hai. Bhakt yahi lochta hai.

2) Baar-baar humara usi dhaabe ya Restaurant mein jaane ka mann karta hai kyunki vo hamein acha lagta hai aur khuraak ka strot bhi banta hai, lekin jo asal khuraak hai jo kewal shareero tak seemit nahi hai, shareer toh yahi reh jaane hain. Jo hans hote hain vo moti roopi khuraak lete hain, vo kankar ka sewan kyu karenge.

3) Abhi bhi suna ki ye heera hamein mila hai, iska sambhal aa jaaye.Hum bhi sewan uska karein jiske kaaran lok aur pralok mangalmayi hota hai. Dhyaan baar-baar jaaye, Sewa, Simran aur Satsang ki taraf. Sansaar me sansaarik cheezein hamein zyada dominate karti hain, isliye Mahapursh hamaara dhyaan iss taraf ujagar karte hain ki hum inn vachno ko apnaayein aur vichar mein laayein jo adhyaatmikta ki taraf ho.

4) Jab hum Bhakt kehte hain toh Bhakt ek sthaan ya sthiti ka nahi hota hai, bhakt har samay hi bhakt hota hai. Uska dhyaan aathon pehar hota hai.

5) Ek misaal yaatraon me dekhne ka mauka milta hai, keha jaata hai ki saalon baad naino ko darshan karne ka mauka milta hai. Par namaskar ki lines mein zig-zag lines mein hum khade hote hain, stage ki taraf peeth hoti hai, toh saamne hain toh darshan karein naino se, sewadal apne aap utha dega. Toh hamara daava kuch aur hota hai aur hamaari praathmiktaayein dominate kar jaati hain. Udhaaran bhi hum apne matlab anusaar dhoond lete hain ki usne bhi toh kiya hai, maine bhi kar liya toh kya hua.

6) Deepak kehta hai ki mere tale andhera hai, par uske saath ka deepak usko roshni de raha hai, arthaat ek doosre ko roshan karte hain, isi prakaar Sant bhi ek doosre ko yaad karaate hain aur unhe chetan karte hain.

7) Itni asaani se hamein ye heera mil gaya hai.
We have heard the story where a Father gave wealth to all his sons and one of the son digs wealth in a piece of a ground and keeps the wealth there. Lekin Pita uss bete se khush hua jisne uska upyog karke umein badaava kiya, uska sadupyog kiya. Jisne zameen me gaada tha jab saalo baad usko nikaala toh vo khatam ho gaya tha kyunki usko keede kha gaye.

8) Beez jo pathar pe girte hain, ya kaanto par girte hain, ya panchi usko le jaate hain apna bhojan samjhkar,  ye sabhi beez nahi panapte hain. Vahi beez panapta hai jisko zameen me daala gaya, jisko paani aur khaad diya gaya, jiski sambhaal kari gayi aur kharaab weather se bachaya gaya, sahi temperature ka khayaal rakha gaya.Toh sajagta hoti hai ki uski sambhal karni hai kyunki kisaan jaanta hai ki mera parivaar isi par tika hai. Yahaa bhi yahi keh rahe hain ki iski sambhaal aa jaaye kyunki bahut tap tyaag karke hamein nahi mila, kitne Mahapursho ne bhojan nahi kiya, ek taang par freezing temperature par khade rahe, phir bhi ye daulat haath nahi aayi. Hamaare hisse me itni saralta se ye aa gaya. Kisi ek mahapursh ne prerna di aur hamein saralta se mil gaya, par iski kadar na kho dein, Dataar kirpa kar iski keemat aur tera ehsaas bana rahe aur Murshad ki bhi kadr bani rahe. Isne hamara background bhi nahi dekha, ye bhi nahi dekha ki hum paatr bane ya nahi, bartan tayyar hai ya nahi, ek Purush se Mahapursh ka naam de diya gaya, ye nirol kirpa hai, iski kadr bani rahe tabhi isko apnaakar isko jiyenge, aur Gyan ko jeena hota hai. Isiliye Satsang aur Simran ka mahetv bataya ja raha hai. Isko zahen aur dilo dimaag me basaaye rakhein.

9) There was a line outside Church when I was  travelling in america - 'Spread the gospel of the Lord but use the words if necessary'. It meant that let our life spreak. Hum apne jeevan se prachaar karein.

10) Jab jeevan ka safar samaapt ho toh mukh ujla karke jaayein, 'let thy vices die before the'. Bury them in front of your eyes before others bury you in the ground, toh inn dushbhaavnao ko maar dein aur dafan kar dein isse pehle ki hum iss duniya se jaayein.

Sadh Sangat Ji Dhan Nirankar Ji

Wednesday, 30 April 2014

Summary of Baba Ji’s Blessings ( 30-Apr-14, Punjabi Bagh, Delhi)

Sadh Sangat Ji Prem se kehna Dhan Nirankar Ji

1)      West Delhi ke Punjabi Bagh ke Janmashtmi maidaan mein aap sab Satsang ke roop mein bita rahe hain, apni manovriti Maalik Khalik ke saath jodte hue, kyunki har rachna, har shabd jo shravan kiye ja rahe the, vo isi Satye Parmatma aur Ishwar ka zikr kar rahe the aur iske saath naata jodne ke liye the aur lok-parlok ko sanwarne ke liye the. Har yug aur har daur mein Peer Paigambron ne sansarik padarthon ke pralobhan nahi diye balki isi sachhai ko jaanane ki baat ki kyunki isi se jeevan ka mol padega. Jeevan ka, swanson ka, dhadkano ka mulye tabhi hai, jab Parmatma ke saath naata jud jaata hai.
 
2)      Duniya mein humne lakshey tey kiye hain. Baalpan ki avastha se hamare saamne aim aur lakshey saamne aate hain aur uski liye daud lag jaati hai. Alag-2 insaan ke bhin-2 lakshey hain jiski poorti ke liye prayas aur jatan kiye jaate hain. Lekin Santo ne har insaan ka ek lakshey bataya hai ki ‘Bade bhag maanush tan paava’, vichar karein ki kis bhaagye ki baat ki ja rahi hai. Guno ke lihaaj se pashu aur pakshiyon mein bhi anek gun hain. Butterfly ya panchiyon ke pankhon ke upar sunder design hote hain jinhe hum kapdo pe bhi daalte hain, panchi ki tarah udne ke liye aeroplanes banaye, ghoda tez daudta hai, haathi bhaar utha leta hai, chota sa keeda roshni deta hai. Par insaan ko hi kaha gaya ki bade bhaag maanas tan paava, insaan sochne ko tayyar nahi ki ye janm kyun anmol hai, mere jeevan ka lakshye kya hai. Kuch ehsaas karte hain aur Santo ke vachan sunte hain par apnaane mein chook jaate hain, par Mahapursho ne kaha ki ‘Avsar beeto jaat hai’. Humne apne asal lakshey ka hamesha khayal rakhna hai.
3)      Swami Vivekanand Ji ne kaha tha ki Satye ki prapti ke liye teevr icha honi chahiye. Jaise doobte hue insaan ki paani se baahar aane ki ichha hoti hai, isi prakar Satye ko paane ki ichha honi chahiye.
 
4)      Humne doosron ki kadr karni hai, zubaan di hai toh doosron ko zakhm dene ke liye nahin. Maalik ne haath diye hain toh doosron ka sahara banein. Agar taakatein aur samarthayein mili hain toh unka durupyog nahi, sadupyog ho. Dewaaron ko giraayein, banaayein nahin. Insaan ne apne wajood ko khud uthana hai, he has to earn the respect.
 
5)      Abhi Good Friday, Easter ka tyohaar manaya. Toh Jesus Christ ne bhi Love, Compassion aur Tolerance ka hi sandesh aur shiksha di hai. Guru Nanak Dev Ji ne bhi bataya ki ghrina, vair aur nafrat ke bhaav se yukt na hon, koi paraya ya begaana nahi hai. Tamaam Guru Peer Paigambron ki yahi shiksha rahi hai aur insaan ko jeene ka dhang bataya hai. Agar vo shikshayein vaise hi reh gayi aur apni hi chaal chalega toh vo shayar ka sher ki – ‘Sajda khalik ko lekin iblis se yaarana bhi, Hashr ke din ibadat ka sila kisse maangu’.
 
6)      Hum vishwas bhara jeevan jiyein, swabhaavon mein hamaare madhurta ho. Hirdyon mein vishalta ho, doosron ko neecha dikhane waali bhaawna na ho, doosron ko neechi drishti se na dekhein. ‘Hum nahi change, bura nahi koye’, aisi hi bhaawna bani rahe.
 
7)      Ek gaanv ka bada chaudhary doosre gaanv ja raha tha, bade achche kapde daale hue. Keechad mein kapde gande ho gaye toh uske saathi ne kaha ki pajama mera pehan lo. Doosre gaanv jaakar saathi ne kaha ki ye bade chaudhary hain, inke itni zameen hai, lekin pajama mera hai. Chaudhary ne kaha ki pajama ka zikr kyu kiya toh saathi ne kaha ki theek hai ab nahi karunga. Doosre gaanv mein jab Chaudhary ka introduction karwaya ki ye zameendar hain, inka bada naam hai aur pajama bhi inhi ka hai. Phir Chaudhary ne usse kaha ki pajama ki baat mat karo. Teesre gaanv mein saathi ne baat shuru ki aur ant mein keh diya ki ab pajame ka koi zikr nahi karunga. Toh kehne ka bhaav ki aisi hi haalat hamari hai, Paigambron ne hamare liye bahut shiksha di hai par jab tak hum Santo aur Mahpursho ke vachno ko maanenge nahi toh baat bannane waali nahi hai.
 
8)      Aisi hi ardaas hai ki Dataar kirpa kare, sabhi ko aisi taufeeq de taaki apne jeevan ko safal karein aur jitne swaans maalik ne likhe hain, unhe sunder dhang se bitaayein, dharti ko sunder banayein. Yahaan areas ke naam hain Rani Bagh, Punjabi Bagh, Tagore Garden, Rajouri Garden, toh Garden aur Bagh bahut hain par dharti sunder banegi tabhi, jab Pyar hoga. Jaise abhi kavi mahaatmaon ne bhi zikr kiya ki – ‘Pyar sajaata hai gulshan ko aur nafrat viraan kare’, toh iss dharti ko hum sanwaartein chale jaayein Pyar ke saath.

 Sadh Sangat Ji Dhan Nirankar Ji

Thursday, 24 April 2014

Summary of Baba Ji's Blessings (24-Apr-14, Manav Ekta Diwas, Delhi)

Sadh Sangat Ji Prem se kehna Dhan Nirankar Ji

1) Aap sabhi aaj upasthit hue hain Manav Ekta Diwas ke roop mein, jis diwas ko shradha ke saath manaya jaata hai, natmastak hote hain un kurbaniyon ki taraf jo isi manavta ko zinda rakhne ke liye aur udhhar karne ke liye jo yogdaan diye gaye, aaj sabhi unke prati natmastak hain.

2) Jiske kaaran aaj hum ye basta hua ghar aur vishal roop dekh rahe hain, vo unhi qurbaniyon ke kaaran hai jo Baba Gurbachan Singh Ji ne ek-ek pal Manavta ko samarpit kiya tha. Insaan sach ki pehchaan kare aur manviye guno se yukt hokar jeevan ke safar ko yey kare, yahi dhun unko rehti thi. Ek shishye ke roop mein bhi unhone Baba Avtar Singh Ji ke hukam ka har samay paalan kiya.

3) Jab unko zimmedaari mili, phir unhone palat kar nahi dekga. Halaanki haalaton ne koshish kari ki shayad mukh mod lenge par, jaise angrezi me kehte hain ki He 'Took everything head on', koi bhi sthitiyaan aayi, unhone unka saamna karke hal dhoonde, faisle liye, Massoorie Conference ki aur Lidhuana mein Prachar Conference bhi ki.

4) Sarover ka bhi charcha hua, ye banzar zameen hai, unhone yahaan bhi hariyaali laayi aur phal phool paida kiye. Toh jo adhaar, Sarover ka sunder roop ki jiski sabhi prashansa karte hain, ye unhone hi mehnat ki jiske kaaran ye neev padi.

5) Mission ke prabandh aur prachar ki drishti se bhi unhone faisle liye, kuritiyon ke khilaaf, shadiyon mein bhi saadgi ka aadesh diya. Jab desh me emergency lagi, unhone kaha ki shadi vivah par fizool kharche nahi hone chahiye, isko desh ki emergency mein bhey se hi beshak apna liya jaaye. Nashe se bhi unhone kaha ki gurez karke apne zahen se hi nikaal dena chahiye. Kamaiyon ko nashe mein yaani naaliyon mein bahana nahi hai.

6) Ek baar Srinagar jaate hue, Baba Gurbachan Singh Ji ki gaadi thi aur hum saare bache doosri gaadi mein the. Hum alag ho gaye, peeche dekha toh gaadi nahi thi, 3 hours tak nahi aayi. Raat ko dekha ki Army ke truck pe Baba Ji aur Rajmata Ji aaye, vaha Contonement area mein raat bitayi. Toh unhone zara sa bhi sankoch nahi kiya chahe jaisa bhi saadhan ho.

7) Kaafi samay unhone workshop me bitaya taaki savings hon, paisa bache jisse Satsang Bhawan banein, Samagam hon aur zyada se zyada prachar ho.

8) Jab mahaan balidaan diya gaya tab Chacha Pratap Singh Ji bhi saath the, tab bhi aaj ki tarah  veervar hi tha. Paharganj mein satsang ka bhog pada toh vo uthe aur kaha ki jaana hai zarori kaam hai. Hum uthe toh bole ki aap ruko baad mein aana. Jab hum Nirankari Colony pahunche toh itna rush tha aur pata laga ki ye ghatna ghat chuki hai.

9) 1973 me Mussorie Conference ke liye daas ko bheja gaya ki gaadi chala kar jao. Vahaan mehsoos hua ki Blood Donation Camps ka aayojan ho taaki iss roop mein bhi samaj ko yogdaan di jaaye, par 1986 se ye roop shuru hua jisme aneko mahapursh yogdaan de rahe hain. Saare vishv mein hi ab aise camp lagaye ja rahe hain.

10) Aaj bhi Doctors mile jinhone kaha ki 25 years se hum aa rahe hain par jo dedication humne yaha dekhi hai vo kahi nahi dekhi hai. Kisi bhi officer se poocha gaya, har koi yahi jaeh raha hai ki aisi dedication humne duniya mein kahi nahi dekhi hai.

11) kahin par likha tha ki '5 min of yours plus 350 ml saves a life.' Toh iss prakar jeevan daan dete aa rahe hain bhaktjan, vahi 84 laakh yoniyon se bachane mein bhi yogdaan de rahe hain iss ujaale ko failakar. Mann ke bhaavon ko sunderta mile, sankeerta door ho, sahensheelta bade, Prem aur karuna ka bhaav ho. Jab mann ko sahi disha mili toh mann ne haathon se bhi nek kaam karvaane hain, dhan aur taakat ka bhi sadupyog hoga.

12) I know that I can't do everything but I can do some thing. Jo main kar sakta hun, vo main karun, saath hi vinamrata banaye rakhun, aur ehsaas rahe ki jo kar raha hun, vo sumat aur taakat teri hai, ye teri hi kirpa aur daya hai. Kisi baat se kadmo ko rukne na dein.

13) Jo Gurmat hoti hai, vo auron ko uthane waali hoti hai, Guru ka bhey aur Gyan saath hoga, kewal naam se hi Sant nahi honge toh Mission ko raftaar milegi aur Baba Gurbachan Singh Ji ka sapna sakaar hoga.

14) Rajmata Ji ne bhi unke kadam se kadam milaya aur khud ko samarpit rakha. Aaj tak bhi chaahe sehat kaisi bhi ho, apna harpal nichaavar kar rakha hai. Ye apne jeevan dwara Gurmat ka paath padaate aa rahe hain. Aisi ardaas hai ki ye tandurust rahein aur saare hi Gurmati ke raaste par chalte chale jaayein.

Sadh Sangat Ji Dhan Nirankar Ji