Sadh Sangat Ji Prem Se Kehna Dhan Nirankar Ji
1. Aap Sabhi Shraddha, Aastha Ke Sath Chittorgarh Mein Rajsthan ke Prantiy Samagam mein upasthit hue hain.
2.Jaha aap sundar bhav se yukt hokar sansar ke Bhalai ki kamna kar rahe hain.
Sant Mahatma apne Jivan ko Sundar roop dene ke liye prerit karte aaye hain.
Kal shyam ko bhi joh yaha par rally nikali gayee usmein bhi Manvi Mulyo ko taraf dhyan dilaya gaya.
3. Jaha sansar mein Vair, Nafrat ke bhav se yukt hokar sabhi Sansar ko vishila kar rahe hain waha par Bhakt Amrit bantein hain aur sabko issi aur agresar karte hain.
Jaha par bhedbhav kiye jate hain,ek dusre ko niche drishti se dekha jata hain waha par santo ne bhed bhav mitakar apne pan ke bhaav se yukt hokar iss aur badhne ke taraf prerit kiya.
4.Yeh prerna lagatar harr Prant mein, harr Sthan par di ja rahi hain.
Aaj aap sabhi issi maksad ki purti ke liye yaha par pahuche hain. Joh Pyar wala vatavaran, Mil julkar rehne wala vatavaran, ek dusre ka Hiteshi banane wala vatavaran ussi ki aaj Sansar ko jarurat hain aur wahi den aap Sant Mahatma diye ja rahe hain
Sadh Sangat Ji Dhan Nirankar Ji
No comments:
Post a Comment