Sadh Sangat Ji Prem se kehna Dhan Nirankar Ji
1) Abhi aap, Mahapursho ke vachno ka anand le rahe the. Aur aise bachan shravan karke Anand milta hai, vaha agar unhi vachno ka ehsas kiya jaaye aur apna liya jaaye, toh vo haaare liye prerna ka kaaran ban jaate hain. Bhakt hamesha hi aise vachan shravan karke anadit mehsoos karte hain aur prerit bhi hote hain.
2) Yahi maarg hamaare liye uttam maarg hai, isi se jeevan ko maayne milte hain. Ye jeevan amulye hai, par insaan vishta ka graahak banta hai. Bhakt bhi isi dharti ka ann aur hawa lete hain, par insano ki aur bhakto ki chahat bhin hoti hai, bhakt moti ke grahak hote hain aur doosre kankad aur vishta ke. Bhakt apna aap auron pe nichaavar karte hain, doosre auro ka daman aur shoshan karne mein yakeen rakhte hai, bhakt vinamr hote hain aur doosro ke ahem ki koi seema nahi hai. Toh dono ki bhaavnao aur praarthmiktaon me bahut antar hota hai, dono ki chaal bhin hita hai. Shakal-soorat toh insaani aur bando waali hai par saare sansaar ke upadrav insaani jaamo mein hi ho rahe hain.
3) Botal zaher ya sharab ki ho aur doosri amrit ki, toh dekhne mein dono ek jaisi hain, par ek jeevan de rahi hai aur doosri jaanleva hai. Baahar ki aakriti isaan ki ek jaisi hai par andar ki soch kya alag hai. Toh santjan prerit karte hain ki hum santo aur bhakto waale maarg par chalein, usi pe chalna hai.
4) Dekhne mein bhanvra aur bhoond ek jaise hain par ek phool ka chahvaan hai air ek gandagi ki taraf jaata hai aur dank lagaata hai. Koyal aur kauwa dono kaale hain, lekin ek ki bhaasha me ananad aata hai aur doosre ki awaaz sun hum pareshaan ho jaate hain. Humaara baahar aur antar ek jaisa ho. Baahar dhyaan ho aur antar mein garz samaayi hi, aisa na ho.
'Garz diyaan buniyaadaan te jo tikeya e O Pyar nahi'.
'Begarz jinaa di ulfat hai, O Pyar di keemat nai mangde".
5) Hum chetan rahein ko humaari bhi bhaavna aur chaal sansaar wali toh nahi ho rahi hai, kisi garz ke kaaran toh kahin kisi Sant se nazdeekat bada rahe hain. Surat aur Seerat me kewal maatra ka antar nahi hoti hai, achi surat sifaarish paatr banti hai lekin achi seerat vishwas paatr hoti hai.
6) 'Jaananhaar Prabhu hai jeda, jaane saare gaibaan nu, Iston kive chupa sakda e banda apne aibaan nu'.
Diwaar ke idhar bhi insaan chhal sakta hai toh udhar doosri taraf bhi chhal sakta hai. Par Param satta ki nazar deewar ke udhar bhi hai, isse kaise chupa sakta hai insaan.
7) Hum sada hi sajag aur chetan rahein. Duniya mein bheed ho toh hum chetan rehte hain, jaan aur samaan ki safety ke liye sajag rehte hain, public place par constantly tapes chal rahi hoti hain ki samaan ka dhyaan rakho aur lawaaris cheez ko na chuo. Jab duniyaavi cheez ka dhyaan rakha jaata hai toh yahaan toh suksham se silsile hain, hum bhool jaate hain, isliye baar-baar yaad karaaya jaata hai.
8) Iss mann mein zaher ho toh ye hamein duniya ki taraf le jaata hai. Gaadi mein Steering toh ek hi hota hai, vahi manzil par le jaata hai aur vahi steering khaayi mein le jaata hai. Isi prakaar mann bhi ek hi hai, isi mann ko sjaayein aur sanemwaare, ye mann naam ke sarover mein dooba rahe, amrit aur motiyon ka graahak banein.
9) Jo spritual aur satsang ka aahar hai, yahi mann ko mile, tabhi mann sunder hoga. 'Mann changa toh katothi mein ganga'. Mann changa hoga toh sab changa hoga, tan mann aur dhann ka sadupyog hoga kyunki mann changa hai. 'Mann jeete jag jeet'. Ankush mahaavat ke haath mein ho toh mann ka haathi sambhal jaata hai varna bekaabu ho jaata hai. National Parks mein haathiyon ke upar lekar jaate hain sanvariyon ko, toh ankush haath mein hai tabhi vahi upyogi bana hua hai.
10) Instrument kaan hai, iske dwara hum vachan sunte hain, par asal mein ye mann ke liye hain. Mann vachno ko sunkar maan leta hai toh phir ye tamaam vachan aur shikshaayein upyogi ho jaati hain.
11) Dataar sabko aisi taufeeq de ki sabhi inn vachno ka laabh uthakar, jeevan, amal aur karm mein laakar uchaayiyon ko chhoote chale jaayein. Ek panchi tabhi udaan bharta hai jab uske dono pankh hon, ek se baat nahi banti. Cycle me chain lagi hoti hai, use utaar dein toh pedal ghumaane se cycle kahi aage nahi jaayegi. Toh bol aur karm dono ki mahetta hai, bol bhi kalyaankari hon aur usi anusaar jeevan bhi ho, unchi matt ko dhaaran karein. Unchi matt Santo aur Bhakto ki hi hoti hai, vahi jeevan ko sunder bana paate hain. Vo kisi yogdaano ke prati bekadre nahi hote hain.
12) Aaj Mother's Day ka zikr ho raha hai. Ek bekadre hote hai, jahaan bekadre hote hain 'Jaddon apni apni pe gayi, teh maa dhi nu lut ke ke gayi'. Par ek Maa, jo khud geeli jagah so gayi aur bache ko sookhi jagah sula diya.
'Jis boodi maa ko tumne ghar ke dekhleez se nikala hai, usi ki duayein hain ki tumhare munh mein niwaala hai'. Maa sada dua hi deti hai.
13) Bahut dashak pehle ek film dekhi jisme bacha maa ke liye durvyavhar karta hai, aur kisi ke kehne par maa ka kaleja nikaal kar le jaa raha hota hai toh gir padta hai. Kaleja se awaaz aati hai ki beta kahin chot toh nahi lagi.
14) Humne kadr aur satkaar karna hai aur apne jeevan ko unchayiyaan aur nikhaar dena hai.
Sadh Sangat Ji Dhan Nirankar Ji
No comments:
Post a Comment