Sadh Sangat Ji Prem se kehna Dhan Nirankar Ji
1) Adhyaatmik khuraak, jiske upar Mahapursho ne hamesha bal diya hai, shareer mein taakat ke liye hum khuraak lete hain, toh yahaan par khuraak, jo hamaare jeevan me adhyaatmikta ko mazboot karti hai aur nikhaar praapt hota hai. Bhakt yahi lochta hai.
2) Baar-baar humara usi dhaabe ya Restaurant mein jaane ka mann karta hai kyunki vo hamein acha lagta hai aur khuraak ka strot bhi banta hai, lekin jo asal khuraak hai jo kewal shareero tak seemit nahi hai, shareer toh yahi reh jaane hain. Jo hans hote hain vo moti roopi khuraak lete hain, vo kankar ka sewan kyu karenge.
3) Abhi bhi suna ki ye heera hamein mila hai, iska sambhal aa jaaye.Hum bhi sewan uska karein jiske kaaran lok aur pralok mangalmayi hota hai. Dhyaan baar-baar jaaye, Sewa, Simran aur Satsang ki taraf. Sansaar me sansaarik cheezein hamein zyada dominate karti hain, isliye Mahapursh hamaara dhyaan iss taraf ujagar karte hain ki hum inn vachno ko apnaayein aur vichar mein laayein jo adhyaatmikta ki taraf ho.
4) Jab hum Bhakt kehte hain toh Bhakt ek sthaan ya sthiti ka nahi hota hai, bhakt har samay hi bhakt hota hai. Uska dhyaan aathon pehar hota hai.
5) Ek misaal yaatraon me dekhne ka mauka milta hai, keha jaata hai ki saalon baad naino ko darshan karne ka mauka milta hai. Par namaskar ki lines mein zig-zag lines mein hum khade hote hain, stage ki taraf peeth hoti hai, toh saamne hain toh darshan karein naino se, sewadal apne aap utha dega. Toh hamara daava kuch aur hota hai aur hamaari praathmiktaayein dominate kar jaati hain. Udhaaran bhi hum apne matlab anusaar dhoond lete hain ki usne bhi toh kiya hai, maine bhi kar liya toh kya hua.
6) Deepak kehta hai ki mere tale andhera hai, par uske saath ka deepak usko roshni de raha hai, arthaat ek doosre ko roshan karte hain, isi prakaar Sant bhi ek doosre ko yaad karaate hain aur unhe chetan karte hain.
7) Itni asaani se hamein ye heera mil gaya hai.
We have heard the story where a Father gave wealth to all his sons and one of the son digs wealth in a piece of a ground and keeps the wealth there. Lekin Pita uss bete se khush hua jisne uska upyog karke umein badaava kiya, uska sadupyog kiya. Jisne zameen me gaada tha jab saalo baad usko nikaala toh vo khatam ho gaya tha kyunki usko keede kha gaye.
8) Beez jo pathar pe girte hain, ya kaanto par girte hain, ya panchi usko le jaate hain apna bhojan samjhkar, ye sabhi beez nahi panapte hain. Vahi beez panapta hai jisko zameen me daala gaya, jisko paani aur khaad diya gaya, jiski sambhaal kari gayi aur kharaab weather se bachaya gaya, sahi temperature ka khayaal rakha gaya.Toh sajagta hoti hai ki uski sambhal karni hai kyunki kisaan jaanta hai ki mera parivaar isi par tika hai. Yahaa bhi yahi keh rahe hain ki iski sambhaal aa jaaye kyunki bahut tap tyaag karke hamein nahi mila, kitne Mahapursho ne bhojan nahi kiya, ek taang par freezing temperature par khade rahe, phir bhi ye daulat haath nahi aayi. Hamaare hisse me itni saralta se ye aa gaya. Kisi ek mahapursh ne prerna di aur hamein saralta se mil gaya, par iski kadar na kho dein, Dataar kirpa kar iski keemat aur tera ehsaas bana rahe aur Murshad ki bhi kadr bani rahe. Isne hamara background bhi nahi dekha, ye bhi nahi dekha ki hum paatr bane ya nahi, bartan tayyar hai ya nahi, ek Purush se Mahapursh ka naam de diya gaya, ye nirol kirpa hai, iski kadr bani rahe tabhi isko apnaakar isko jiyenge, aur Gyan ko jeena hota hai. Isiliye Satsang aur Simran ka mahetv bataya ja raha hai. Isko zahen aur dilo dimaag me basaaye rakhein.
9) There was a line outside Church when I was travelling in america - 'Spread the gospel of the Lord but use the words if necessary'. It meant that let our life spreak. Hum apne jeevan se prachaar karein.
10) Jab jeevan ka safar samaapt ho toh mukh ujla karke jaayein, 'let thy vices die before the'. Bury them in front of your eyes before others bury you in the ground, toh inn dushbhaavnao ko maar dein aur dafan kar dein isse pehle ki hum iss duniya se jaayein.
Sadh Sangat Ji Dhan Nirankar Ji
No comments:
Post a Comment