Sunday, 30 March 2014

Summary of Baba Ji’s Blessings (Nadiad, Gujrat, 30-3-14)

Sadh Sangat Ji Prem se kehna Dhan Nirankar Ji

1)      Ek arse ke baad Nadiad mein aane ka mauka mila hai, aap sabhi ke darshan karke bahut prasanta mehsoos ho rahi hai. Yahaan Prabhu Parmatma ke mil baith ke gungaan kiye ja rahe the aur prarthna ki ja rahi thi, sansaar aur har insaan ki bhalai ke liye, sumati aur Bhakti ka daan maanga ja raha tha, Insaniyat ki majbooti ki prathnayein ki ja rahi thi aur prarthna ke saath-2 usko paane ke dhang aur vidhi ki bhi charcha ki ja rahi thi.

2)      Dharm ka asli roop hi insaaniyat hai jo Satyug, Treta ya Dwapar mein sthapit kiya gaya tha. Insaaniyat nikaal dein Dharm mein se toh kewal vo dhaancha hi reh jaata hai, theek usi prakar se jaise aatma nikal jaane ke baad shareek ka dhaancha reh jaata hai. Yahaan usmein jaan daalne ki baat ho rahi hai jo insaaniyat ko apnane se hi hogi. Shareer mein jaan hai kyunki saanse chal rahi hain, par swaanso ko bhi saans mil jaate hain aur Dil ko dhadkane mil jaati hain agar insaaniyat waale gun aa jaate hain.

3)      Holi ka tyohaar chand roz pehle manaya gaya. Holi ka zikr jab aata hai toh Holika ki baat hoti hai jo Hirnakashyap ki behan thi. Hirnakashyap Insaniyat aur Parmatma se door rehkar jeevan jee raha tha. Toh Bua aur Pita  dono hi chote Prahlad Bhakt ki jaan ke pyaase the kyunki vo Parmatma ke gungan karta tha. Toh ek hi parivar ke ang hain teeno, lekin bhaavnao mein kitna antar hai. Yahaan bhi chota sa bacha bakhyaan kar raha tha ki jeevan mein jaan Parmatma se aati hai varna jeevan neeras reh jaata hai. Insaan chalti phirti lash ho jaata hai agar Parmatma na ho.

4)       Peer Paigambron, Parmatma ka naam lene waale bahut hain, Guru Peer Paigambron KO maanane waale toh bahut hain lekin unn KI mannane waale bahut kam hain. Kewal unki jai-jaikar bulaane se nahi, unke tyohar manaane se nahi, parwarnagi chadegi tab, jab iss Ishwar ko ang-sang jaankar sunder bhaavon se apne manno se saja lenge. Tabhi pehchaan hogi hamaari dharmik ya insaan hone ki.

5)      Insaan manta hai ki I have travelled miles and miles and about to reach the destination. Insaan manta hai ki itni-2 kriyaayein karne se manzil aa jayegi, ab toh pahunch hi jaayenge, lekin vo vahin khada hota hai. Mahapurush samjhate hain ki paani mein madaani maarne se makhhan nahi nikalne waala hai. Jab Brahm Nirakar ke asli roop ko jaan lete ho, jo nirmal Param satta hai, jo kan-kan mein vyapt hai, jab iska bodh hota hai, Gyan ki drishti milti hai, phir har shey mein iska jalwa dikhta hai. Jab Arjun ko kurukshetra ke maidaan mein Gyan netr mile toh usne kaha ki jidhar dekhta hun udhar Tu hi Tu hai. Iss  Virat se aur Virat kuch bhi nahi hai, toh Virat ke darshan karne hain jo samast samaayi hui satta hai. Phir Kabir Ji, Meerabai Ji, Bulle Shah Ji sabhi, uss dashon dishaon mein natmastak ho jaate hain. Aatma ko apne mool ki pehchan ho jaati hai.

6)      To know your true self, you have to know the True entity, Self realization through GOD realization. Pehnaave ya bhaashayein hamari asli pehchan nahi hai. Aatma ansh hai parmatma ki  jiski koi bhasha ya sanskriti nahi hai. Toh jab Mool ki koi bhasha ya sanskriti waali pehchan nahi hai toh uski ansh ki kaise hogi. Hum agar khud ko nahi pehchan rahe hain toh abhi bhi bhrantiyon mein hain aur phir jaati-paati ki diwaarein khadi rahengi, hum phir andhkar mein hain.  Jab Gyan drishti milti hai toh diwaarein gir jaati hai aur bandhano se chutkara mil jaata hai kyunki bhrantiyaan door ho jaati hain aur andhkaar door ho jaata hai.

7)      Agar bansuri ka madhur sangeet sunnana chahte hain, toh pehle baans ko prapt karna hoga. Agar andhkar hi nahi mita hai, toh bandhano se chutkara nahi milega. Awagaman ke bandhan se chutkare ke liye, iss lok mein bandhano se mukt hone ke liye, Suraj roopi Gyan ki avashyakta hai.

8)      Bande vich Bandagi da ghaata hove te insaan nahi. Phir chaaro taraf crime aur lootmar, betiyon par zulm ityadi dekhne ko milta hai. Aaj 30th Mar ko England mein Mother’s Day manaya ja raha hai. Vaise toh maatrshakti ka mahetv har din aur subah-sham hai. Hum bhi Guron Peeron ka janmdin manaate hain par unki mahetta har samay hai. Insaan daave karta hai ki technology mein tarakki kar li hai, lekin girawat bhi usi proportion mein dekhne ko mil rahi hai. Sajjan pravirti hi insaan ko girne aur doobne se ubhar sakti hai. Sant na hote jagat mein toh jal marta sansaar.

9)      Iss Satye ke saath naata juda rahe, ye anivarye hai. Sant sansaar aur apne liye yahi prarthna karte hain ki hum bhi insaaniyat ka daaman na chhod baithein, bachne waale pehluon ko jeevan  mein na apnayein, kewal baatein hi na karein, unko jeevan mein apna bhi lein.

10)   Gujrat mein Gymkhana mein program hone ka pata chala toh dhyaan aaya ki agar GYMKHAANA ko do shabdon mein baant dein toh GYM aur KHAANA.  GYM - jahan youngsters bahut jaate hain body ko tandurust rakhne ke liye aur doosri taraf KHANA. Toh Delhi mein ek youngster ne bataya ki main GYM jaata hun, bahut paseene bahata hun, instructors guide karta hai. Jis Mall mein GYM karne jaata hun, usmein ek din neeche aaye toh Fast Food ke 3 chains the,  toh utarkar jab kha rahe the toh Trainer ne aakar kaha ki agar yahi sab khana hai toh Gym mein paise kyun barbaad kar rahe ho, faayda toh tabhi hoga jab niyamit ahaar khaya jaayega. Isi prakaar jahaan par ye kaha jaata hai ki Satsang karein, Sewa karein , Paropkar karein, lekin doosri taraf khana bhi usi anusaar ho, yaani ki sunder bhavnaaon ko grehan karein, usi anusaar apne jeevan ko tey karein.
 
11)   Ant mein daas khushi zaahir karega ki yahaan aakar bahut prasannata hui aur Satsang aur aapke darshan karne ka mauka mila. Dataar sabhi ko taufeeq de, sab Bhakti ke marg par chalein aur Dataar sabhi ko tan-mann-dhan ke sukh pradaan kare.
 

Sadh Sangat Ji Dhan Nirankar Ji

No comments:

Post a Comment