Saturday, 29 March 2014

Summary of Satguru Baba Ji's Blessings At Ankaleshwar on 29th March 2014

Sadh Sangat Ji Prem Se Kehna Dhan Nirankar Ji

1. Sadh Sangat Aaj Yaha Ankaleshwar mein aakar aap sabhi ke darshan karke prasannata ho rahi hain. Jaise abhi jikr hua lambe arse ke baad yaha iss roop mein aane ka mauka mila.
Pichle baras Prantiy samagam ke baad kahi aur jane ka mauka nahi mila aur jab iss baar Delhi se chale toh keval Mumbai ki taraf ka Programme bana tha aur fir Gujrat mein aane ka dhyan bana.
Yeh Sama yeh Ghadiya joh Santo ke Darshan karne ko mila. Mumbai mein bhi joh 3 Programme hue woh bhi Maharashtra Sant Samagam ka hi roop lag raha tha aur aaj
Aaj bhi yeh Jajba dekhne ko mila.

2. Sant Mahatma Iss Prakar se Jivan ke ek ek kshano ko Mulyawan banate hain. Jaise Jivan ka sama pura hota hain aur lakho rupee doctor ke samne rakkh diye jaye toh woh kehta hain ki chahe karodo do yaa sanasar ki saari daulat de do lekin ek bhi sans nahi de payenge.
Insan iss Samay ka mulya nahi daalte. Jaha Insaniyat nahi waha Sanse toh hoti hain par Jivan nahi hota.

3. Malik ne joh insani Jivan diya usska kuch mulya hain.
Uss Lakshya ki prapti karne ke liye yeh Insani Jivan lag jaye.
Duniya aur Duniyadari ke liye hum Yatnsheel rahte hain lekin Mahatma ne kaha keval Duniyavi Uplabdhiya humara Laksya nahi hain.
Baki sab kary anya Yonio mein bhi hote hain aur aaj bhi hum unn karyo mein lage hain.
Nidra, Bhojan, Bhog, Bhay Janvar aur Anya yoni mein bhi hoti hain aur agar humara Jivan bhi yahi tak simit raha toh jivan ka Mahtwa nahi rahega.
Janwar Computer, Technology istemal nahi kar sakte Toh Insan ne iss mamle mein toh Pragati kar li hain. Kaha par stone age wala insan tha gufa mein rehta tha, aur aaj toh Insan ne Aasman chu liya aur iss tarah se vikas hua. Lekin aaj bhi insan ki fitrat wahi hain. Ladhna jhagdana, ek dusre ka chinana.
Definitely we are superior than other species lekin Insan ke roop mein paida ho kar insan ki tarah Jina sikh jaye.
Kya hum Technology mein tarraki bana kar Pyar karna sikh gaye? Toh kaha par humara rutba uccha hua?
Aaj janwaro se bhi battar insan ka rutba hain.
He insan tu Jivan ko jina sikh le, isme teri samzdari hain.
Hone ko toh Ravan bhi Samrat tha lekin uska Rutba Shabri Ji yaa Kabir ji jitna ucha nahi ho paya.
Jaha Par Nirol Prem tha Bhalehi unke Hisse mein zopdi aaye Mehel nahi aaye fir bhi unka rutba bada mana gaya.

4.Aaj garaz aur khudgarzi itni hain ki jaydad ke liye Beta bhi Baap ko maar dene se piche nahi hatata.
Technology se Seconds to seconds development of the world se vakhip ho rahe hain aur drush bhi aise hi dekhno ko milta hain ki Insan ki aur Girwat ho rahi hain. Isilye Santo ne kaha

Par Dukkhe Upkar kare toh
Mann abhimaan na aane re.

dusre ko sukh dene ke chahna ho. Iss se Insani Jivan ki mehtta hogi.
Tabhi sacche mayno mein devta aur insan ban payenge

5. Mission ne naara diya Oneness ka joh Gujrat ka samagam Vadodara mein hua waha par bhi Run for Oneness ka aayojan kiya toh kahi par Oneness ki baat aur Human value ka bhi naara diya ja raha hain.
Sant Bhakt Mahatma ne Insaniyat ki baat ki. Insan toh Bohat hain Khalik ko bhulakar jivan jine wale iss liye iss Dharti ko Nark kehno ko majbur ho jaate hain.
Joh Human Values ko jite hain unka Jivan jina sab ke liye sukhad aur unki yaatra ke baad bhi woh Prerna ka karan bante hain.

6. Aaj bhi yehi Prerna di gayee ki humari fitrat insano wali ho. Hum dusro ke upar julm na dhyaye. Sabse peeda ki baat yeh hain ki Insan toh hain par insaniyat nahi. Agar Insan mein Insaniyat ho toh Dharti Jannat ban paye, Swargmayee najara bann jaye. Insano se humein Chlla kapat dekhne ko na mile, Khudgarziya humeun dekhne ko na mile. Insaniyat ki Khudgarziya se usse Parivar ka bhi aehsas nahi aur Desh ko bhi bech kha rahe hain aur ek dusre ke sath ladha rahe hain.

7.Harr Insan ke andar Insaniyat kayam ho.
Insan se vishwas khota ja rahe hain.Jaise Shayar ne bhi kaha

Dost hota nahi harr hath milane wala hain.

Dikhane ke liye dikhate hain ki Hath mila raha hai aur jiss se hath mila raha hain ussi ke ant ka pura pura intezam kiya hain.
Sant yeh vishwas punha sthapit karna chahte hain.
Dass kal parso hi Maharashtra ke antim Padav Charoti mein jikr kar raha tha ki
Ek chor chori karne ke liye ek kamere mein gaya toh diwar ke upar likha tha ki Tasvir sarka ke Tijori nazar aayegi aur Tizori pe likkha tha 246 digit dabao toh tizori khul jayegi. Toh chor khush hua ki yaha toh Gharwalo ki sahuliyat ke liye yeh suvidha di toh yeh mere liye bhi aasan hua aur jaise usne digits daba diye toh lights on hue aur usse Police ne pakad liya toh Gharwalo se keh raha hain ki aaj mera toh Insaniyat se vishwas hi uth gaya hai.
Toh Aaj Joh Insaniyat ki duhai yaha par de rahe hain woh khud bhi Insaniyat mein yakeen rakhte hai. Yeh Shoshan nahi Poshan karna jante hain
Jis se apna bhi aur auro ka bhi bhala ho jata hain.

8. Toh Daata Sabko aise Jagruti de ta ki joh nuksan ho rahe hain uss se bachav ho jaye. Bahut Prakar ke nuksan hain. Dharti ke liye kayee Pollution uss ki bhi awarness ki jaati hain aur Mahapursh Thoughtfull awarness late hain ki humne Aatma ko bhi Moksh ki Prapti karni hain apne jivan ki myar bhi unchi karna hain.

9. Ankaleshwar iss Sheher se dhyan aaya ki 'Ank Le Iss Iswar Se'. Ank ka Matlab Number aur Ishwar ka Number tabhi milega jab Insan ka Naata Insaniyat se judega

Sadh Sangat Ji Dhan Nirankar Ji

No comments:

Post a Comment